Loading...
Mera naam Ashish hai aur main drug abuse se pidit hoon. Lekin maine psychiatrist ko dikhaya hai aur ab main pehle se behtar hoon. 23 September ki raat mere dost ke ghar ke saamne, jo ki max 3 meter ke distance par hai, wahan se do home guard mujhe Dungra Police Station (Vapi 396195) le gaye. Mujhe unke saath prescribed medicine aur avil injection mila, jiska prescription mere paas hai. Ek constable, Ajay, ne mere saath bahut badtameezi ki. Usne mere mobile se mere family members, mainly female (behen, mausi), ke saare numbers aur photos le liye. Usne baar baar bola, "Behen ko bulao, wo English medium hai," aur bahut bura bhala bola. Mujhe iske khilaaf complaint karni hai aur chahata hoon ki department wale isey thoda manners sikhayein. Kisi bhi lady ka respect kaise kiya jata hai, yeh samjhana chahiye. Usne mere mobile mein jo bhi female numbers the, un sab ko le liya aur raat ko 4-5 baje call karna shuru kiya. Mujhe kya karna chaiye?
सर, आपको उस कांस्टेबल के खिलाफ मिसकंडक्ट के लिए पुलिस के उच्च अधिकारियों से शिकायत करनी चाहिए। इसके लिए एक विशेषज्ञ वकील की मदद लें, जो आपको आगे की कानूनी कार्रवाई में सहायता करेगा। अधिक कानूनी सहायता के लिए कृपया हमारे हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।