Loading...
Mere sasural mein hum 4 members hain – main, mere pati, mere sasur aur meri nanad. Saas nahi hain. Abhi meri 5 months ki beti hai. Vartaman mein mujhe mere pati aur nanad ne pareshan karke ghar se nikal diya. Main 2 months se apne mayke mein hoon. Mere sasural mein meri role sirf itni hai ki main bahu bankar ghar ka kaam karun aur ghar ko waris doon. Mere pati ka rishta mere saath sirf baccha paida karne tak seemit hai, baaki sara talmel unki behen ke sath hai. Meri nanad ne humare pati–patni ke rishte mein itni darar daal di hai ki aaj hum divorce tak aa gaye hain. Meri nanad mere pati ko apni marzi se chalati hai aur pura control karti hai. Hum dono ko chain se sath nahi rehne deti aur mera pati bhi apni behen ke sath milkar mujhse ladta hai.
अगर आपके पति और ननद ने आपको घर से निकाल दिया है, तो आप तुरंत महिला थाने या नजदीकी पुलिस स्टेशन में घरेलू हिंसा कानून और धारा 85 BNS के तहत शिकायत दर्ज कर सकती हैं। आप कोर्ट से घर में रहने का हक, मेंटेनेंस, सुरक्षा आदेश, और बच्ची की देखभाल के लिए राहत पा सकती हैं। अगर पति तलाक की बात करता है, तो आप भरण-पोषण और उचित समाधान की कानूनी मांग कर सकती हैं। अधिक कानूनी सहायता के लिए हमारी हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।