Loading...
Ek ladki ne mujhe 2 saal pehle business ke liye message kiya tha Instagram par. Phir humari achi dosti ho gayi aur thoda attraction bhi ho gaya. 7-8 mahine baad usne kaha ki usse mujhe se baat karne mein suffocation ho rahi hai, toh maine kaha thik hai. Fir thodi baatein kam ho gayi aur phir vo wapas baat karne lagi. Phir kuch samay baad uska kisi aur ladke se attachment ho gayi, jise vo apna dost bolke baat tal gayi. Ek mahine pehle usne bola ki sorry yaar, main tumhe hurt kar rahi hoon, par mujhe shaadi naam se nafrat hai aur main kisi se shaadi nahi karna chahti hoon, lekin agar future mein mann hua toh tumse karungi. Fir mere ghar kisi rishta aagaya. Maine yeh sab sunke ghar pe bataya ki main kisi se baat karta tha, lekin samne wale ko koi interest nahi tha. Maine usse bola ki meri sagai fix ho gayi hai, toh vo boli, "Acchi baat hai." Fir kuch din baad vo bola ki nahi, mujhe tumse shaadi karni hai, agar tum mujhse shaadi nahi karoge toh main kuch kar dungi, aur uske bhai bhi calls aur messages kar rahe hain. Ab mujhe is situation mein kya karna chahiye?
सर अगर आप शादी नहीं करना चाहते हैं, तो आप ऐसी धमकी के खिलाफ शिकायत दर्ज कर सकते हैं। आपको एक विशेषज्ञ वकील से सलाह लेने की सलाह दी जाती है, जो आपको सही कदम उठाने में मदद करेगा। अधिक कानूनी सहायता के लिए हमारी हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।