नाबालिग लड़की की जबरन शादी कैसे रोके?

Sir, jis ladki se main baat karta hoon, woh abhi 17 saal ki hai aur meri age 27 saal hai. Uski family use bahut maar-peet aur pareshan karti hai, aur pichhle kuch saalon mein yeh sab aur zyada badh gaya hai. Main abhi usse shaadi bhi nahi kar sakta kyunki woh 18 saal ki nahi hui hai. Problem yeh hai ki uski family yahan se kahin aur jaane ki soch rahi hai aur uski zabardasti shaadi karwane ki planning kar rahi hai. Uske paas phone bhi nahi hai, use phone nahi dete, aur woh ghar se bahar bhi bahut kam nikalti hai. Jab bhi nikalti hai, uske saath family ka koi na koi hota hai, taaki woh family ke khilaaf kuch na bol sake. Sir, ab main kya karoon, samajh nahi aa raha. Uske documents bhi uski family ne apne paas rakh liye hain. Woh abhi sirf 17 saal ki hui hai. Kya aisa koi legal tareeka hai ki shaadi ke liye documents ka kaam pehle se ho sake, aur jaise hi woh 18 saal ki ho, us time turant shaadi ho jaye?

1 Answer
Only verified advocates can give an answer Sign In
Admin
Advocate By LEAD INDIA Answered: 20 Mar 2026

अभी लड़की नाबालिग है, इसलिए अभी शादी कानूनी रूप से नहीं हो सकती। अगर उसकी जबरदस्ती शादी, मारपीट या बंदी जैसी स्थिति है, तो तुरंत 1098 (चाइल्डलाइन), पुलिस 112, महिला हेल्पलाइन 181, बाल कल्याण समिति (CWC) या जिला प्रशासन में शिकायत करें। लड़की के 18 साल पूरे होने के बाद ही उसकी मर्जी से शादी करें। अधिक कानूनी सहायता के लिए हमारी हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।

24x7 Help

If we fall short of your expectation in any way, let us know

Payment Trust

All refunds come with no questions asked guarantee

Talk to Lawyer

Talk Now